View Single Post
Old 13-08-2009, 05:19 PM   #14
.BZU.
Default Re: Hadees Nabvi, Allah nay Muqadar banaya aur usi nay jo chaha kiya....

Uzma aik banda kahay kay main yeh batain manta hon aur in ko true prove karnay kay li ay, kuch jhooti man gharat ahadees paish kar raha hon... ..
Quote:
Bhar do jhhooli meri ya muhammad loot kar main na jaon ga khaali.
Quote:
Yasrab kay waali .. saaray nabi tere dar kay sawaali.
Aur in batoon say Allah aur us ka rassol mana farma ay, ya koi bhi aisi baat ho jis ay App SAW nay mana farmaya ho.aur aik banda wo kaam karay ya us mana honi wali baat say mana na ho. tu kiya aap usay muslim bolo gi? ..
off course nahi bolo gi...
but tell me what is wrong kay agar main nay aisa bool diya tu? is kay baad bhi abhi tak aap un Ahadees ko quraan majeed ki ayat kay muqablay main lanay ki koshish kar rahi ho...

jab wahan par yeh likha hei nahi huya hay then why you want to say this?
Quote:
Mam above quote ki hoe hadith mae ye kaha kis jaga per Mein ne
Mention kia hai k
1-Hazoor (S.A.A.W) tmam Nabio ko rizk detay hain?
2-Mein ne kab kaha hai k usman ne jo ayat ka refr. dia hai
wo wrong hai?
3-Above hadith mae kon c shirk wali baat hai ?
4-kab kaha k Hazoor (S.A.A.W) ka Rutba Na aoz billah Allah k braber hai

(Rizq dena means jo kuch Dossaray nabion. ko chahi ay hota tha tu wo nabi kay dar par sawal kartay thay aur un ko wo cheez mil jati thei. Chahi ay wo rizq ho chahay ay koi bhi madad . chahiye wo Mossa Kaleem Ullah (Allah say kalam karnay wala) ka Firoon say bach niklna ho ya chahi ay wo namrood ki jalai hoi aag ka Ibraheem A.S kay li ay Thandi ho jana ho) Aap kay mutabiq Muhammad S.A.W Jhooli bhar kay deta hay tu hum kehtay hain kay Allah tala aise karta hay. its means you want to say that kay Allah ki sifatPiyaray nabi kareem SAW main bhi hay...


Quote:
Then Hazrat Muhammad(S.A.A.W) said That star was i.
pehli Hadees ko maan na in sab ayata ka kufar hay.... zahir hay Allah ka nabi apni hadees main us baat kay against baat tu nahi kahay ga na jo Allah tabarak watala nay Quran paak main likh di ho.
Quote:
Surat Yousaf Aeyat No 109:

"Ap (S.A.W) sy pehlay hum ny mard he rasool bhejay or wo inhi bastiyuon k rehnay walay thay"

Surat Ibrahim Aeyat no 10

"unhon ny kaha k tum tu hum jesy he insan ho"

Surat Ibrahim Aeyat no 11

"In k peghamberon ny in sy kaha yeh tu sach ha k hum tum jesy insan hain"

Surat Al Ambiya Aeyat no 7

"or ap (S.A.W) sy qabal hum ny jitny rasool bhejay wo sb mard thy"

Surat Al kahaf Aeyat no 110

"(Aa Muhammad (SAW)) elan kr dijiye k mein tu tum jesa he ek insan hn"
Quote:
hazrat Adam & Hawa (A.S) ki toba some sentences ki adaigi k baad kabol hoe
when they use it in their Dua.This was la illah....

Hazrat Essa (A.S) ne Allah se Hazoor (S.A.A.w) k ommati bnnay ki dua ki thi ab wo AAp (S.A.A.W) k omati bn kr aiy gay or esayat ki nhi Islam ki
tableegh kray gay.
40 year tak aap SAW ghaar-e-hira main guzari, means 40 saal tak Aap SAW kay dunia main honay kay bawajood bhi pehlay jo deen aa raha tha...sab loog usi ko shirk kay saath mana kertay thay (mostly christen loog hongay shyad)

then 40 years ki ummar main aap SAW par Pehli wahi naazil hoi..

Quote:
Iqra bisme rabi qalazi khalaq...
tu tab Hamra deen-e-islam wajood main aya... Essa A.S nay ummti bannay ki dua nahi ki thei balkay un ko tu us zamnay kay loog phaansi dena chahatay thay. means Saleeb par latkana chahatay thay. Tu Allah tala nay Essa Abne marium ko apni taraf bula liya. because Allah kay haath main sab kuch hay,(na kayYasrab kay waali kay haath main)... aur Allah Essa A.S ko bachana chahta tha tu Allah tabarak watala nay aisa kia...


Quote:
Qiyamat k din Hisab kiab se pehlay jo Be-chaini ki kaifiat ho gi
os k khatmay k leay tmam Nabi Hazoor( S.A.A.W) k pas jaiy gay or request kray gay
k Aap Allah se kehay or ye State or condition khatam ho or hisab kitab start ho phir Hazoor (S.A.A.w) ki sfarish pe ye amal start ho ga.
Yes off course bechaini ki kafiyat ho gi. wo sirf un logon kay li ay jo kay aap SAW kay phailaa ay ho ay deen main apna deen lay kar baith ja ain gay. Quraani ayat ka khula inkar karain gay...
Quote:
Mairaj ki raat Baitul Muqadas mae tmam Nabio ne Hazoor (S.A.A.w)
ki amamat mae namaz perhi.
Never listen this before...


Ajj BZUPAGES par Irfan bhai nay aik Buhut achi baat share ki...

Quote:
Originally Posted by irfishahpk View Post
Logon kay khauf say haq baat kahnay say na ruko

Kion kay

Na to koi maut ko qareeb kar sakta hay

Aur na koi

Rizq ko door kar sakta hay


************Hazrat Ali(R.A)*************

I wana be Ali R.A. LOL. ban tu koi bhi nahi skta.. but koshish tu ki ja sakti hay na, huq baat kehnay main kia harj hay..
  Reply With Quote