Ay musawwar maray mehboob ki tasveer bana,
Tujhsay ban jaye to bigri hoi taqdeer bana
zulf aisi ho kay barsat bhi pani mangay,
Surkh honton say har ik phool jawani mangay
Nargisi aankhon main kajal kay wohi teer bana,
Ay musawwar maray mehboob ki tasweer bana
Main tujhay husan kay andaaz sikhaon kasay,
Apni aankhein taray chehray pay lagaon kasay
Tera dar chor kay jaon to jaon kasay,
Jis main uljha rahoon din raat woh zanjeer bana
Ay musawwir maray mehboob ki tasweer bana