Ek shakhs paas rah kay bhi samjha nahi mujhay,
Is baat ka malal hay shikwa nahi mujhay
Main us ko bewafai ka ilzaam kasay doon,
Us nay to ibtida say hi chaha nahi mujhay
Kia kia umeedain bandh kar aaya tha samnay,
Us nay to ankh bhar kay bhi daikha nahi mujhay
Pathar samajh kay paon ki thokar pay rakh lia,
Afsos teri ankh nay parkha nahi mujhay
Kab theharna tha mujh ko aaj us kay paas,
Acha hua kay us nay bhi roka nahi mujhay