Na main usko bhula saka,
Na main dil ki baat bata saka
Woh hansi hansi main hi chal diye,
Kay main hath tak na hila saka
Yuon hi sochta raha dair tak,
magar usko kuch na bata saka
Yah muqam hi tha ajeeb sa,
kay main khud ko na bacha saka
Woh juda bhi kaisay hua kay main,
Koi rasam tak na nibha saka!!!!