Pathar tha magar barf kay galon ki tarah tha,
Ek shakhs andheron main ujalon ki tarha tha
Khwabon ki tarha tha na khayalon ki tarha tha,
Woh Ilm e Riazi kay sawalon ki tarha tha
Uljha howa aisa kay kabhi hal ho nahi paya,
Suljha howa asay kay misalon ki tarha tha
Woh mil to gaya tha magar apna hi muqaddar,
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki tarha tha
Woh rooh main khushbo ki tarha ho gaya tehleel,
Jo door bohat chand kay halon ki tarha tha.......