BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai... (http://bzupages.com/showthread.php?t=9173)

usman_latif_ch 04-04-2010 10:52 PM

Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai...
 
Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai,
zakham dekar puchte hain ab haal kaisa hai,
Kissi ek se gila kya karna yaaro,
Saari duniya ka mizaaz ek jaisa hai!!

Aa kar meri Majar par Tune jo muskura diya,
Bijli chamak uthi saara badan jala diya,
Jite ji na pucha dard-e-dil ka maajra,
Ab aaye ho puchne jab khaak mein mila diya!!

Waqt to hume bhula chuka hai,
kahin muqaddar bhi na bhula de,
pyaar hum is liye nahi karte hain,
kahin koi fir se na rula de!!

Dil abhi poori tarah TooTa nahi
Dosto kee meharbaani chahiye
Aap ne jo gum diya hai shukriya
Pyaar kee kuchh to nishaanee chaahiye!!

Ab aur kya dosh de jamane ko,
Tum hi sabse aage khade the,
mera dil dukhane koPata bhi nahi chala aur tinka-tinka bikhar gaya,
Na jaane kiski nazar lagi mere aashiyane ko!!

Kaha se lauu woh shabad,
Jo teri tarif ke kabil ho,
Kaha se lauu woh chand,
Jisme teri khoobsurti samil ho,
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de,
Kaha se lauu woh kismat,
Jisme tu bas mujhe hasil ho!!


All times are GMT +5. The time now is 07:45 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.