Muhabbat zindagi main bari mushkil say milti hay Muqadar aazmanay main zamanay beet jatay hain, Muradain dil ki panay main zamanay beet jatay hain Nahi karta koi himmat agar izhar e ulfat ki, Zuban par baat lanay main zamanay beet jatay hain Muhabbat zindagi main bari mushkil say milti hay, Magar isko nibhanay main zamanay beet jatay hain Agar ek baar aankhon main achanak aa basay koi, Usay dil say bhulanay main zamanay beet jatay hain |
All times are GMT +5. The time now is 02:31 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.