![]() |
Abb kiun aisay udaas baithay ho? Abb kiun aisay udaas baithay ho? jabb woh ik shakhs dastras main tha uss se milna tumharay buss main tha uss ki ankhain tumhari ankhain theen uski batain tumhari batain theen uska chehra tumhara chehra tha uske dil par tumhara pehra tha woh jo kehta tha bai qarari hai meri sari wafa tumhari hai sirf tumsay mujhay muhabbat hai sirf tumsay meri haqeeqat hai tabb tum uskay har aik jumlay ko tabb tum uskay har aik jazbay ko ikk hansi main uraya kartay thay sunn k tum bhool jaya kartay thay apni tanhai k galay lagg k saray ansu woh ro gya ik din aik pather say dil lagi kar k khud bhi pather ka ho gya ik din |
| All times are GMT +5. The time now is 11:21 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.