BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Iqbal tere dais ka kia haal sunaon", (http://bzupages.com/showthread.php?t=6534)

usman_latif_ch 10-11-2009 06:43 PM

Iqbal tere dais ka kia haal sunaon",
 
Iqbal TERE DAIS KA KIA HAAL SUNAON",

Bebaki-o-Haq Goi Se Ghabrata Hy Momin,

Makkr-o-Farebi Pe Itrata Hy Momin,

Jis Rizq Se Parwaaz Me Kotahi Ka Darr Ho,

Wo Rizq Ab Barray Shoq Se Khata Hy Momin,

Kirdar Ka,Guftar Ka,A'amal Ka Momin,

Qa'il Nhi Aisay Kisi Janjaal Ka Momin,

Sindh Ka Momin Hy To Koi Punjab Ka Momin

Dhonde Se Bhi Milta Nahi,Qur'aan Ka Momin

BSIT07-01 12-12-2009 11:09 PM

Re: Iqbal tere dais ka kia haal sunaon",
 
Iqbal teray days ka kya haal sunaon

dehqaan to mer khap gaya, ub kis ko jagaon
milta hai kahaan khosha-e-gandum kay jalaaon
shaheen ka hai gumbad-e-shahi pay basera
kunjishk far-o-maya ko ub kis say laraaon

Iqbal teray days ka kya haal sunaon

makkari-o-aiyari-o-ghaddari-o-hayjaan
ub banta hai in chaar anaasir say musalman
qari isay kehna to bari baat hai yaro
is nay to kabhi khole kay dekha nahi Quran


bay baaki-o-haq goi say ghabrata hai momin
makkari-o-robahi pay itrata hai momin
jis rizq say parwaz mein kotahi ka der ho
wo rizq baray shauq say khata hai momin

shaheen ka jahaan, aaj mamolay ka jahaan hai
milti hui mulla say mujahid key azaan hai
maana kay sitaron say bhi aagay hain jahaan aur
shaheen mein magar taqat-e-parwaz kahaan hai

kirdaar ka, guftaar ka, aamal ka momin
qayel nahi esay kisi janjaal ka momin
sarhad ka hai momin, koi bangaal ka momin
dhoonday say bhi milta nahi Quran ka momin


her daardhi mein tinka hai, her aankh mein shehteer
momin key nigahon say ub badalti nahi taqdeer
tawheed key talwaron say khali hain neyamein
ub zauq-e-yaqeen say nahi kat-tee koi zanjeer

dekho to zara mehlon kay pardon ko utha ker
shamsheer-o-sinaan rakhi hain taaqon mein saja ker
aatay hain nazar masnad-e-shahi pay rangeelay
taqdeer-e-umam so gei, taaous pay aa ker

mer mer key silon say koi bay zaar nahi hai
rehnay ko haram mein koi teiyar nahi hai
kehnay ko her shakhs musalman hai lekin
dekho to kahin naam ko kirdar nahi hai


Mehmudon key saff, aaj Ayazon say paray hai
jamhur say sultani-e-jamhur waray hai
thaamay huay daaman hai, yahan per jo khudi ka
mer mer kay jiye hai, kabhi jee jee kay meray hai

payda kabhi hoti thee seher, jis key azaan say
us banda-e-momin ko main ub laaon kahaan say
wo sajda, zameen jis say laraz jaati thee yaro
ek bar hum chhut gaye, is baar-e-garaan say


All times are GMT +5. The time now is 11:09 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.