BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   One of famous Ghazal Of Ahmad Faraz. (http://bzupages.com/showthread.php?t=5736)

Foki 15-09-2009 10:33 AM

One of famous Ghazal Of Ahmad Faraz.
 
:studying:
Suna hai laug ussay aankh bhar ke dekhtey hain,
So uss k shehr main kuch din theher k dekhtey hain

Suna hai rabt hai uss ko kharaab haalo'n se,
So apney aap ko barbaad ker ke dekhtey hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz uski,
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhtey hain..

Suna hai usko bhi hai sher-o-shaiyrii se shughaf,
So hum bhi mau'jzay apney hunar ke dekhtey hain

Suna hai bolay to baaton se phool jhartey hain,
Ye baat hai to chalo baat ker ke dekhtey hain

Suna hai raat ussey chaand takta rehta hai,
Sitaarey baam-e-falak se utar ke dekhtey hain..

Suna hai din ko usay titliaa'n sataati hain,
Suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai hashr hain uss ki ghazal si aankhain,
Suna hai uss ko hiran dasht bhar ke dekhtey hain.

Siyaah chashm to dekhay hain per na aisay bhi,
K uss ko surma farosh aah bhar ke dekhtey hain

Suna hai uss ke labo'n se gulaab jaltey hain,
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtey hain

Suna hai aaina tamsaal hai jabee'n uski,
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtey hain

Suna hai jab se hamaail hain uss ki gardan main,
Mizaaj aur hi la'al-o-gohar ke dekhtey hain.

Suna hai chashm-e-tasawwar se dasht-e-imkaa'n mein,
Palang zaaviye uss ki kamar ke dekhtey hain

Suna hai uss k badan ki taraash aysii hai,
Ke phool apni qaba'ain kutar ke dekhtey hain

Wo sar-o-qad hai magar be-gul-e-muraad nahi,
Ke us shajar pe shagoofey samar ke dekhtey hain.

Nazar uthey to ye samjho k deen-o-dil to gaye,
So rehrawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtey hain..

Rukay to gardishain uss ka tawaaf kerti hain,
Chaley to uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

Kahaniyaa'n hi sahi,sab mubaalghey hi sahi,
Agar woh khawaab hai,ta'abeer ker ke dekhtey hain

Kisay naseeb ke be-pairhan ussay dekhey,
Kabhi kabhaar,dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain.

Ab uske shehr mein tehrain k kooch ker jaayin,
Faraaz! aao sitaarey safar ke dekhtey hain....!


All times are GMT +5. The time now is 07:06 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.