![]() |
Dard kesa bhi ho..... DARD KESA BHI HO!! Dard kaisa b ho ankh nam na karo Raat kaali sahi koi gham na karo Ik sitara bano jagmagatay raho Zindagi mein sada muskaratay raho Baantni hai agar baant lo har khushi Gham na zahir karo tum kisi per kabhi Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Ashk anmool hain kho na dena kahin In ki har boond hai motiyoon se haseen In ko har ankh se tum churatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Faaslay kam karo dil milatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho |
| All times are GMT +5. The time now is 04:38 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.