BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Kuch khoushi k saaye main aur kuch ghamo k saath saath (http://bzupages.com/showthread.php?t=22684)

usman_latif_ch 25-12-2011 02:53 PM

Kuch khoushi k saaye main aur kuch ghamo k saath saath
 
Kuch khoushi k saaye main aur kuch ghamo k saath saath
zindagi kat he rahi hai uljhano k saath saath

aaj tak uss ki thakan se dukh raha hai yeh badan
ek safar main ne kiya tha khwahishon k saath saath

kis tarha khaaya hai dhoka kiya bataon main tumhain
dosto k mashware thay saazishon k saath saath

kis tarha rakhe hue thay chaand sooraj ek jaga
nafratain bhe pal rahe then chahaton k saath saath

iss dafa sawan main teri yaad k badal rahe
iss dafa main khoob roya barishon k saath saath

woh jinhain main dost kehta tha bare he maan se
saf ba saf woh bhe khare thay dushmano k saath saath

kaash! phir se lot aayen phir wahi bachpan k din
bhaagna pholon ki khatir titliyon k saath saath

Shaher main kuch log mere chahane wale bhe hain
Phool mujh ko lag rahe hain patharon k saath saath


All times are GMT +5. The time now is 12:57 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.