BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Dareechay Say Jhaankti Woh Larki Ajeeb Dukh Say Bhari Hui Hai (http://bzupages.com/showthread.php?t=20669)

usman_latif_ch 05-11-2011 11:07 AM

Dareechay Say Jhaankti Woh Larki Ajeeb Dukh Say Bhari Hui Hai
 
Dareechay Say Jhaankti Woh Larki Ajeeb Dukh Say Bhari Hui Hai
Kay Us Kay Aangan Mein Phool Par Aik Neeli Titli Marri Hui Hai

Kabhi Azaanon Mein Khoi Khoi, Kabhi Namazon Mein Royi Royi
Woh Aisay Dunya Ko Dekhti Hai, Kay Jaisay Us Say Dari Hui Hai
......
Darood Say Mehki Mehki Saansein,Wazeefa Parhti Hui Woh Aankhein
Kay Aik Shama-e-Umeed Un Mein, Kay Baras Say Dhari Hui Hai

Woh Dukh Ki Chaadar Mein Lipti Lipti,Woh Kaalay Kapron Mein Simti Simti
Muhabbat Us Nay Kisi Say Shayed Meri Tarah Hi Kari Hui Hai

Baray Zamanon Kay Baad Barsi Hain Meri Aankhein Kisi Ki Khaatir
Baray Zamanon Kay Baad Dil Ki Zameen Phir Say Hari Hui Hai


All times are GMT +5. The time now is 03:47 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.