BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka (http://bzupages.com/showthread.php?t=20313)

usman_latif_ch 31-10-2011 06:51 PM

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka
 
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka


rat kya soye k baqi umr ki nind ur gai
Khvab kya dekha ki dharka lag gaya tabir ka


jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair
aj tak har lafz fariyadi meri tahrir ka


jis tarah badal ka saya pyas bharakta rahe
main ne vo alam bhi dekha hai teri tasvir ka


kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qail ho gaya taqdir ka


ishq main sar phorna bhi kya k ye be-meher log
ju-e-Khun ko nam dete hain ju-e-shir ka


jis ko bhi chaha use shidat se chaha hai 'Faraz'
sil-sila tuta nahin dard ki zanjir ka


All times are GMT +5. The time now is 04:58 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.