Yeh meri Gazalain yeh meri nazmain tamam teri hikayatain hain Yeh meri Gazalain yeh meri nazmain tamam teri hikayatain hain yeh tazkiray teray... lutf kay hain yeh shair teri shikayatain hain main sab teri nazar kar raha hoon yeh un zamanon ki s'atain hain jo zindagi kay nay safar main tujhay kisi roz yaad aiN to ek ek harf ji uthay ga pehan kay anfas ki qubain ... udas tanhaiyon kay lamhon main naach uthaingi yeh apsarain mujhay teray dard kay ilava bhi aur dukh thay, yeh janta hoon hazarr gham thay jo zindagi ki talash main thay, yeh janta hoon mujhay khabar hay keh teray anchal main dard ki rait chhanta hoon magar har ek baar tujh ko chhu kar yeh rait rang-e-hina bani hay yeh zakhm gulzar ban gay hain yeh ahen-sozan ghata bani hay yeh dard mauj-e-saba hua hay yeh aag dil ki sada bani hay aur ab yeh sari mata-e-hasti yeh phool ye zakhm sab teray hain yeh dukh keh nauhay yeh sukh kay naghmain jo kal meray thay vo ab teray hain jo teri qurbat teri judai main kat gay roz-o-shab teray hain vo tera shayar tera mughanni vo jis ki baatain ajeeb si thi vo jis kay andaz khusro-vana thay aur adain ghareeb si theen vo jis kay jeenay ki khahishain bhi khud us kay apnay naseeb si theen na poochh us kaa keh vo deevana bahut dinon ka ujar chuka hay vo kohkan to naheen tha laikin kari chattanon se lar chuka hay vo thak chuka hay aur us ka tesha usi kay seenay main gar chuka hay.. |
All times are GMT +5. The time now is 05:18 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.