BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon Safar main ab ke hawa ko bhi humsafar na karoon (http://bzupages.com/showthread.php?t=19098)

usman_latif_ch 10-10-2011 06:07 PM

Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon Safar main ab ke hawa ko bhi humsafar na karoon
 
Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon
Safar main ab ke hawa ko bhi humsafar na karoon
Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta
Main shaam orh ke so jaon aur sahar na karoon
Ab is sey barh ke bhala or kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon
Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansu’on ki wazahat main umer-bhar na kroon!
Ujaar shab ki khalish ban ke bun main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon
Wo aik pal ko dikhai to dey kaheen 'Mohsin'
Main jaan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon.


All times are GMT +5. The time now is 11:53 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.