Khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista kiya jata hai pani main safar ahista ahista Khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista kiya jata hai pani main safar ahista ahista koi zanjir phir wapas wahin par le k ati hai kathin ho rah to chutata hai ghar ahista ahista badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai k thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista khalish k sath is dil se na meri jan nikal jaye khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista hua hai sarkashi main phul ka apna ziyan, dekha so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista meri shola mizaji ko wo jangal kaise ras aye hawa bhi sans leti ho jidhar ahista ahista |
All times are GMT +5. The time now is 08:53 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.