BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa (http://bzupages.com/showthread.php?t=17135)

.BZU. 28-07-2011 12:44 PM

Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
 
mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa

meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

mujhe jo bhi dushman-e jaan mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
meri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa

merey aik gosha-e fik'r main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa

mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa

humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um'r guzar gaii
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

usman_latif_ch 29-07-2011 10:22 AM

Re: Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
 
so nycccc poetry..., kuch apni apni si lagti ha..., :)


All times are GMT +5. The time now is 05:50 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.