Dil ne wafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahi kiya.. Dil ne wafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahi kiya khud ko halaak kar liyaa khud ko fidaa nahi kiya kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaasta koi tuune to hamase aaj tak koi gilaa nahi kiya .... tuu bhi kisiike baab me.n ahad-shikan ho gaaliban mai.n ne bhi ek shakhs kaa qarz adaa nahi kiya jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa jis ko bhii shekh-o-shah ne hukm-e-khudaa diya qarar ham ne nahi kiya wo kaam han ba-khudaa nahi kiyaa |
All times are GMT +5. The time now is 11:09 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.