BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   "usay kehna k bheegi january pher loat ae hai" (http://bzupages.com/showthread.php?t=13375)

snowwhite 03-01-2011 07:33 PM

"usay kehna k bheegi january pher loat ae hai"
 
wohi galiyan, wohi kuchay wohi serdi ka mosam hai
usi andaaz se apna nizam-e-zeest berham hai
wohi hai bheer sochon ki,wohi tanha'eyan pher se
musafir ajnabi or dasht ki pinha'iyan pher se
muje sab yad hai kuch saal pehlay ka ye qissa hai
wohi lamha to veerany ka ik abaad hisa hai
meri ankhon mai wo ek lamha-e-mojood ab bhi hai
wo zinda raat mere sath lakhon bar jagi hai
kisi ne meri tanhaee ka sara karb banta tha
kisi ne raat ki chunri mai roshan chand tanka tha
mere sheron mai wo surat-e-elhaam utra tha
muani ban k jo lafzon mai pehli bar dherka tha
wo jis k hony se zindgi nagma saraai hai
usay kehna k bheegi january pher loat ae hai

WantSmile 05-01-2011 05:41 PM

Re: "usay kehna k bheegi january pher loat ae hai"
 
Another great nazm............thanks a lot SNOW

Bht achey..........nice taste and superb selection
Lekin aik khaami hai............................................... .........wo ye k bht km posts krti ho ap
zyada hona chahiyay..................................

---------- Post added at 05:34 PM ---------- Previous post was at 05:34 PM ----------

waiting for more

---------- Post added at 05:41 PM ---------- Previous post was at 05:34 PM ----------

is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai
main wohi hon tera kirdaar fasanay wala

snowwhite 06-01-2011 03:39 PM

Re: "usay kehna k bheegi january pher loat ae hai"
 
yar ziyada es lye nahi kerti bkz meri typing speed buht kam hai to jab kafi time ho tab he kerti hon....:)

WantSmile 06-01-2011 03:53 PM

Re: "usay kehna k bheegi january pher loat ae hai"
 
Allah kray zor-e-qalam (ya zor-e-jism) aur ziada...........

to kia baaqi dino mai maalish krti rehti hain unglion ke......lol
chlen jaisey ap khush

"kitne naamaanoos lafzon ki kahani thaa wo shakhs.....usko kitni mushkilon say tarjuma maine kia"


All times are GMT +5. The time now is 05:09 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.