BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=391)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/showthread.php?t=1331)

Muzammil 01-02-2009 10:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dosti yeqeen par tiki hoti hai,
Ye deewar badi muskil se khadi hoti hai.

Kabhi fursat ho to parhna kitab dosti ki,
Ki dosti khoon ke risto se bhi badi hoti hai.

.BZU. 02-02-2009 06:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo ruky to koh-e-garan thay hum, jo chaly to jaan say guzar gaye
rah-e-yaar ham ny qadam qadam tujhay yaadgaar bana dia :439:

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 04:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Samait ker apni Dehleez ka pathar ker day

Ya Khak bna ker Darbadar ker day

Uss say door hain tu baray Karb main hain

Ussay kaho meri Aazmaish ko muqhtasir ker day

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 04:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Suljha howa sa fard samajhtay hain mujh ko Log

Uljha howa sa mujh main koi dosra bhi hai....

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 05:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wo kaisy Log thay Ya Rab! jinhon nay paa liya tujh ko

Hamein tu ho gaya Dushwar ek Insaan ka milna.........

.BZU. 07-02-2009 03:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Agar woh milta tu kaisa hota...
Inhe khayalon main so gaya main

.BZU. 08-02-2009 08:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Is se ziyada zabt ki mai or kya misal do
wo muj se lipat k roey kisi or k lie

Muzammil 08-02-2009 10:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waah Ji Waah Kya Baat Hai One Of The Best Line I Ever Read

ab ke yooN dil ko sazaa di hum ne
uski har baat bhulaa di hum ne

ek ek phool bahot yaad aayaa
shaakhN-e-gul jab woh jalaa di hum ne

aaj tak jis pe woh sharmaate hai
baat woh kab kii bhulaa di hum ne

shahar-e-jahaaN raakh se adaab huwaa
aag jab dil kee buzaa di hum ne

aaj phir yaad bahot aayaa woh
aaj phir usko duaa di hum ne

koii to baat hai usmeN "Faiz"
har khushee jis pe luTaa di hum ne

usman_latif_ch 09-02-2009 07:52 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kch yaden hain un lmhon ki,
Jin lmhon may hum sath rahe,
Khushiyon se bhare jazbat rahe,
Ek umar guzari hay humny,
Jhan roty huy bhi hansty thy,
Kch kehty thy, kch sunty thy,
Hm rOz subha jb milty thy,
To sb k chehry khilty thy,
Pur-lutf wo manzer hota tha,
Hm mil kar batain krty thy,
Hm socho kitna hansty thy!!
Woh goonjh hmare hansne ki,

Ab aik purani yaad bani,
Yeh batain hain un lmhon ki
Jin lmhon may hum sath rahy

irfishahpk 09-02-2009 10:23 AM

Verse
 
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena


All times are GMT +5. The time now is 05:38 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.