BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=391)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/showthread.php?t=1331)

.BZU. 27-12-2008 03:03 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
"" Main Kis Se Ja Kar Pochoon Jo Alam Ho Rahey Hain,
Mere Sheher Jal Rahey Hain,Mere Log Marr Rahey Hain,
Koi Aur To Nahi Pas-e-Khanjar Azmai,
Hum He Qatal Ho Rahey Hain Hum He Qatal Ho Rahey Hain "":23n:

Muzammil 27-12-2008 03:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
" Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi "

.BZU. 11-01-2009 07:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Is dunya ne meri wafa ka kitna oncha mol diya,
pairon mein zanjerain dali hatho mein kashkol diya,
jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaya,
jab koi ilzaam laga mujh par la kar dool diya,
ab chahe aandhi aye ya phir toofan aye,
maine bas aahat payi aur darwaza khula chor diya.


Qurrat-ul-ain 12-01-2009 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jane kyun Log hamein bhool jatay hain!

Kuch pal sath reh ker Door chalay jatay hain!

Sach he kehtay hain Sagar milnay k baad!

Aksar log Barish ko Bhool jatay hain

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 04:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khabi aabad kerta hay
Khabi Berbad kerta hay

Sitam her ik Roz
Wo naya Eaijad kerta hay

Aajab wo shakhs hay
Uski Mohabbat b Nirali hay

Jo Pelay Qaid ker kay
Bad main Aazad kerta hay



Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sajaa kay sar pay Sittaron ka Taj rakhta hai
Zameen pay bhi wo Falaq ka Mizaj rakhta hai
Khaffa sahi wo, Sakhawat Sar-Shast jab bhi millay
Bharam anna ka Mohabbat ka laj rakhta hai

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:14 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jiss say milnay ki nahi hoti door talak Umeed koi

Unn kay kho janay ka Khadsha bhi boht hota hai

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bus iss khayal say Aansoo chuppa liye hum nay

Uddass reh kay kissi ko uddass kiya kerna

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aab kay baras kuch aisai Tadbeer kertay hain

Mil kay ek Shehr-e-Mohabbat Tameer kertay hain

Khizan ki ujjar shamen na aaein gi aglay saal

Iss Bahar rut ko Zanjeer kartay hain.............

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Toofan ker raha tha mere Shoq ka Tawaaf

Dunya samajh rahi thi k Kashti Bhanwar main ha


All times are GMT +5. The time now is 08:35 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.