BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=391)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/showthread.php?t=1331)

usman_latif_ch 10-02-2009 06:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo adhori reh gai thi wo kahani sochna..
Baith kar tanha faqat batain purani sochna...
Jab kisi sahil pe aa jae mari yaad tumhain..
Kyun jazeeron ki taraf behta hai pani sochna...
Jab kabhi likhna kahani ''zeest'' ki, mojon pe tum..
Kyun badal jate hain lafzoon ke maani sochna.....

.BZU. 11-02-2009 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aik sarsarii c nazar wo mujh pay b dal day
aye rab e zul jalal osay itna khayal day
itna b arooj kia k wo mil he na saky
wo ho saky mera osy itna zawaal day


KUCH HARD VERSES HAIN BUT CHALAY GA

msn 11-02-2009 05:24 PM

pal pal
 
Pal Pal Tarsy Tay Jis Pal K liy
Pal Aya b to Kuch Pal k liy
Sucha Ta Usy Zindagi Ka Haseen pal Ban lengy
Per Wo Pal Ruka B to Bass eik Pal K liy!

usman_latif_ch 13-02-2009 07:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4181
Kitni Ratein Beet Gaen,
Kitne Din Beet Gaey,
Bus Beeta Nahi to..
Yaadoon Ka Wo PaL,
Wo Guzra Hoa KaL,
Beeti Nahi To
Aankhon Ki Nami,
Aur.. unki Kami.!
Attachment 4181

.BZU. 14-02-2009 09:41 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Raat kya dhali sitare chale gye,
ghairo se kia gila apne chale gye,
jeet to skte the har baazi hm bhi,
per usko jitane ki khatir hum harte chale gye,

Muzammil 14-02-2009 09:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay..
Hay ager piyaar ussay bhee to chuppaata kiyoon hay.


Chain din main hay ussay aur na raatoon ko sakoon..
Itnee qurbet hay to phir rooth kay jaata kiyoon hay


Youn to main bhool gaya hoon ussay maazi kee tarah. .
Dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay.
Mujhe Is k jawab Nahi mil raha hai..

Teri faryaad suni hay na sunay ga koi
phir bhee tu haath duaaoon ko uthaata kiyoon hay




Uhh.. Sona chahiye ab! I m very sleepy now....:aGoodbye:

usman_latif_ch 14-02-2009 11:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhen bi to khbr ho gi
k...
Darya pas behtay hon,
to pani acha lgta hai;
kinaron say juri mitti se pocho rog chahat ka,
k...
Is pani ki chahat me kinaron se ukharr kr ajnbi deson me jana..
Ktna mushkl hai.?
Kinara phir nhi milta;
Tumhen bs itna likhna hai,yahan jo bi bichar jae,
"Dobara phir nhi milta.

irfishahpk 14-02-2009 01:30 PM

ی ی
ی ̪


meri dastan ka arooj tha teri naram palkon ki chaon main

mere sath tha tujhe jagna teri ankh kaise jhapak gyee


Uddass tha iss qadar soya nah raat bhar
PALKOOn say daikhta raha tera naam aasman par

usman_latif_ch 17-02-2009 03:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4452
"Badan pe apne lahoo ka libas rakhta hon"
"Main khaas phool hon rangat bhi khaas rakhta hon"
"Kisi khushi ki bhala ab mujhe khushi kyun ho"
"Tumhare gham se jo khud ko udaas rakhta hon"
"Main apne dard kahan baant'ta phiron Mohsin"
"K main apni cheezain faqat apne paas rakhta hon,

Attachment 4452

Qurrat-ul-ain 17-02-2009 11:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Haqeeqat kay Naggar main jagtay lamhon main phailay ga


Mera Khawab-e-Tammana Shehr k raston main phailay ga



Mohabbat rang hai aisa k rokay say nahi rukta!



Khabi Poolon main bikhray ga khabi tarron main phailay ga..




All times are GMT +5. The time now is 08:27 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.