Usse aawaz daina hai
Usse hans k bullana hai
Agarcheh ab hamare dermiyan Deewar hayal hai
Hai mera raasta kuch aur, usski aur MAnzil hai
Usse aage nikkalna hai...
Mujhe pal pal teherna hai
Magar guzray zammanon main....
Hamare Dard-o-Ghum bhi eik thay, Khushiyan bhi sanjhin thein
Hamari Zindagi ka khawab-Naama eik jesa tha
Allag kirdaar thay donnon , Fassana eik jesa tha
So uss tootay taaluq kay hawalay say
Gilla hergiz nahi kerna
Na ab herf-e-Shikkayat lab pay laana hai
Agar wo ittefaqan raastay main mill bhi jaye tu......
Usse aawaz daina hai
Usse hans k bullana hai.....