dekhe hue kisy ko buhat din guzar gaye
is dil ki bebasy ko buhat din guzar gaye
har shab chaton pe chant utarta to hai magar
is ghar main chandni ko buhat din guzar gaye
koi jawaz dhoond gam e nashnaz ka
bewaja,beqali ko buhat din guzar gaye
ab tak akele pan ka musalsal azab hai
dunya se dosti ko buhat din guzar gaye
tery rifaqatien to muqaddar main hi na thee
ab apni hi kami ko buhat din guzar gaye
muddat hui hai loot ke roya nahin hoon main
is chain ki ghady ko buhat din guzar gaye
jo aitebar e zakhm hunar ne ata kiya
azeem woh shairy ko buhat din guzar gaye