Dil ne wafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahi kiya.. Dil ne wafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahi kiya
khud ko halaak kar liyaa khud ko fidaa nahi kiya kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaasta koi
tuune to hamase aaj tak koi gilaa nahi kiya .... tuu bhi kisiike baab me.n ahad-shikan ho gaaliban
mai.n ne bhi ek shakhs kaa qarz adaa nahi kiya jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa jis ko bhii shekh-o-shah ne hukm-e-khudaa diya qarar
ham ne nahi kiya wo kaam han ba-khudaa nahi kiyaa
__________________
If u got nothing to lose, then baby u got it all....!!! |