![]() |
Tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai waqt ke saath haalaat badal jaate haiN ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai ek muddat se jahaN qaaflay guzre hi nahiN aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai |
| All times are GMT +5. The time now is 02:14 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.