BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Networking/Ethical Hacking (http://bzupages.com/264-networking-ethical-hacking/)
-   -   Hacking Course : Part-2 : MORE GOOD ABOUT HACKING! (http://bzupages.com/f264/hacking-course-part-2-more-good-about-hacking-9566/)

Waqas Ahmed 26-04-2010 10:04 PM

Hacking Course : Part-2 : MORE GOOD ABOUT HACKING!
 
This course is designed specially for new users to go further in advance concepts.
I am starting this course as my best possible try. I become a good hacker by reading and learning some articles, magazines, websites, books. As you are starting to read and learn this course. This hacking course is a combination of my knowledge from various resources I got and learn. This is not fully my creativity, but I conceived and arranged it, and giving it a form, in which you can learn and understand it very easily.
The First part I taken from magzine, which is very usefull for starting point. Then I will show you in advance levels how to hack bios, windows, email and websites and even networks.

----------------------------------------------------------------------------------------------------
////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////


MORE GOOD ABOUT HACKING
===================
Hacking koi jadu nahi hai k aap nai aik mantar parha aur computer dohan ban kar oor gaya. Agar computer kay nizam mein khamiyan aur kamzoriyan talash karni hein tou aap ko is kay software or harware ka bakhobi pata hona chahiye. Hackers apni in malomat ko system administrators ki madad karnay, inhen security holes batanay, government agencies ka data mehfoz karnay, network ko kisi bhi hamlay say mehfoz rakhnay aur naye security holes talash karnay mein istimal kartay hein. Aur yun logo ki madad kartay hein. Aik aisy madad jo dosron say moomkin nahi.

Asal mein hackers tou computer ko juraim paisha afrad say bachany ki koshis kartay hein. Jab mein kisi say hackers ya hacking ki baat karta hoon tou loog mujh say behs shuru kar daitay hein. Aur kehtay hein hacking sikhanay say sirf juraim mein izafa hogaaur bas. Jab k mein hackers aur hacking ko 100% sahi samjhta hoon. Aur sab ko yehi batanay ki koshish karta hoon k agar computer k mujrimon say bachna hai tou hacking sikhni paray gi. Ilawan azin yeh mumkin nahi.

Misal k tor par dakoo firing kartay hoy aa rahay hein, aur aap lathi lay kar kharay ho jaein k goli marein gay tou khoon niklay ga, gunah milay ga. Tou aap ka khuda hi hafiz hay. Mein yeh smajhta hoon k kisi insan ko kaat dalan achi baat nahi, Lekin doctor yehi kartay hein tou hum sab tareef kartay hein. Is liye na k oon ka yeh katna aur khoon nikalna bhlai k liye hai.

Police k paas aslah hamari jaan bachany k liye hai. Mein aap say aik swal karta hoon k atom bomb kyun banaye gaye, is say tou lakhon log mar jatay hein. Magar yeh is liye banaye gaye k jub dushman hamla karay tou hum difa kar sakein.

Aap nay kabhi vaccine k baray mein suna hay? Yeh medical science ki sub say badi ijaad hai. Is ka kaam karnay ka amal Zehr ba muqabla zehr ki tarahn hay.

Bilkul isi tarahn hackers (sahi alfaz mein crackers) ko rokna hai tou hacking sikhni paray gi. Sahil par kharay ho kar chahein k toofan ko rook lein tou yeh moomkin nahi.

In the next topic we start hacking!

+
+
+

Do suggest me about this course, Waiting for your queries.

+
+
+

BSIT07-01 27-04-2010 12:08 AM

Re: Hacking Course : Part-2 : MORE GOOD ABOUT HACKING!
 
That's nice topic ...

Mujhay bhi shauq hua tha kabhi ... abhi bhi hay :D .... kuchh had tak tu hon hi hacker ... but want to know more ...

Actually people don't see the positive aspect of Learning hacking ... a person who knows hacking will definitely develop secure application than a person who is expert in development but does not know about hacking ...


I think there should be at-least one subject in IT/CS/TS for "ethical hacking"

Waqas Ahmed 27-04-2010 12:03 PM

Re: Hacking Course : Part-2 : MORE GOOD ABOUT HACKING!
 
Tasman Pasha Sahib say kyun nahi baat kartay......?


All times are GMT +5. The time now is 04:57 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.