BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Networking/Ethical Hacking (http://bzupages.com/264-networking-ethical-hacking/)
-   -   Hacking Course : Part-1 : Introduction (http://bzupages.com/f264/hacking-course-part-1-introduction-9358/)

Waqas Ahmed 16-04-2010 10:48 AM

Hacking Course : Part-1 : Introduction
 
This course is designed specially for new users to go further in advance concepts.
I am starting this course as my best possible try. I become a good hacker by reading and learning some articles, magazines, websites, books. As you are starting to read and learn this course. This hacking course is a combination of my knowledge from various resources I got and learn. This is not fully my creativity, but I conceived and arranged it, and giving it a form, in which you can learn and understand it very easily.
The First part I taken from magzine, which is very usefull for starting point. Then I will show you in advance levels how to hack bios, windows, email and websites and even networks.

----------------------------------------------------------------------------------------------------
////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////

Hacking Aur Hackers
==============

Hacking aur Hackers ka amooman bura asar logo k zahn mein mojood hai. Yahan aap nay hackers ka naam liya nahin aur wahan aap ko computer ka mujrim, virus coder aur system ki tabahi ka zimay dar gardana janay laga.

Logon ki is sooch mein in ka koi kasoor nahin. Aik aam admi tou wohi kuch kahay ga jo oosay bataya jaye ga. Aur aaj kal media hackers ko sirf aur sirf mujrim karar dainay par tula hua hai. Inehn maloom hi nahi hackers aur juraim paisah do mutzad batein hein. Hackers ka juraim ki duniya say bilkul koi taluk nahin.

Hackers ki Jo tachrih Media say hoti hay. Is ka asal tarif say koi wasta nahin. Haqeeqat mein hackers intihai zaheen aur chalak hotay hein. Agar aik aam admi ko computer chalany kay 20 tareeqay pata hein tou inhein 25 pata hotay hein. 20 wo jin say computer chalta hay aur 5 wo jin say computer nahin chalay ga. Aur wo is isafi ilm ki waja say hi hackers kahlatay hein. Ab agar aik cheese in k ilm mein hai aur hamaray ilm mein nahi hai, tou wo faida uthanay ka haq bhi rakhtay hein.

Gaflat ki kimat ka asool tou aap sab ko pata hoga. Aap ka TV kharab ho gaya, aap nay mechanic ko bulaya, oos nay aik taar joodey aur TV sahi ho gaya. Wo aap say 500 rupay lay kar chala gaya. ab agar koi yeh puchay k sirf taar joodnay k 500 rupay kaisay ho gaye. Tou janab taar joodnay ka tou aik rupiya aur 499 rupay is baat k kahan jooda jaye. Yehi farq hai ilm ka jis ki vaja say ham usay paisay dainay par majboor hein.

Roz mara zindagi par nazar dalein tou ham har shobay mein isi gaflat ki keemat choka rahay hein. Kisi nay mujh say kaha kay ham microsoft ka sofware license kyun khredein, tou mein nay unhein yehi kaha k aik cheese tumhein nahi aati, tou aap k paas khareednay k ilawa koi chara nahin.

Agar nahin khareedna tou windows khud bana lein. Isi tarah agar hacker ko system administrator say 2 batein zyada pata hein tou is ka haq hai k us par koi pabadi na lag sakay.

Mgar hamaray Haan ulta rivaj hai. Hum wo 5 tareeqay tou sikhna chahtay hein jin say computer nahin chalta. Magar shuru walay 20 sikhna nahin chahtay.

Tou ye asan lafz mein mumkin nahin hay.

+
+
+

Hope You find this Introduction better to develop your mind for Hacking.

Do suggest me about this course, Waiting for your queries.

+
+
+

(((((Auspicious))))) 01-07-2010 09:10 PM

Re: Hacking Course : Part-1 : Introduction
 
thanks for the nice info :)

spyhigh 30-07-2010 06:39 PM

Re: Hacking Course : Part-1 : Introduction
 
i believe that a programmer can be a good hacker but a hacker can't be a good hacker ..

SpyHeart 05-09-2012 07:40 PM

Re: Hacking Course : Part-1 : Introduction
 
hmmmmm Let's see in next what u teach ;) hope enjoying with u :)


All times are GMT +5. The time now is 08:53 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.