![]() |
Khafa Hai Mujh Say Khafa hai mujh say mujhy pareshan karta hai Ajeeb shaks hai khud say badguman karta hai Na meri parwah hai na mery haal ki kuch khabar Salook wo karny laga hai jesay anjaan karta hai Wo mery zikr pay uktana mujh say katra kar guzar jana Aesa lagta hai jesay wo doori ka saman karta hai Pehly to mujh say milna hi aehem tha jis k liye Ab milta bhi hai to jesay aehsaan karta hai Taluk torna hai to aa k keh day mujh say wo aesi batain gairon say bayaan karta hai |
| All times are GMT +5. The time now is 02:51 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.