![]() |
qurbato'n k khwab qurbato'n k khwab aankho'n mai sajay hii reh gaye ab hamarey naam paido'n par likhay hii reh gaye paas se uss shakhs ko dekha tha ham ne aik baar uskey teekhey naqsh yaado'n mai basay hii reh gaye rootthne wala nahee'n aaya palat kar aaj tak uskey aanay ki khushi mai ham sajay hii reh gaye iss tarah barood ki boo se fiza bojhal hui dulhano'n k hath mehndi se rachay hii reh gaye adl ki aankho'n mai aansuo'n ka manzar daikhna be_gunah sooli charha zalim bachay hii reh gaye kiss safayee se GHAZAL wo ham ko jhutlata raha be_basi se uski jaanib daikhtay hii reh gaye |
| All times are GMT +5. The time now is 11:36 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.