Main kisi or ka hoon itna bata kr royi Main kisi or ka hoon itna bata kr royi Wo mujay mehndi lagay hath dikha kr royi, Mujay anjaam-e-muhabbat maloom na tha hargiz Ye kaha or mujay seenay say laga kr royi, Umar bhar ki judai ka khyal aya tha shayad Wo mujay paas apnay dair tak bitha kr royi, Main bay qasoor hoon qudrat ka faisla hay ye Lipat k muj say wo bus itna bata kr royi, Kitna baybus the wo taqdir k samnay Wo mujay apnay hatho,n ki lakeerain dikha kr royi, Muj per ik karb ka toofan sa guzra us wakt Jab meray samnay khat meray jala kr royi, Sab shikway meray aik he pal main beh gay Jheel si aankho,n main jab aansu saja kr royi, Aansu ban kr na nikal jaoun kahin,, is dar say Apnay aansuon ko wo aankho,n main chupa kr royi, Surkh kapro,n main baithee høon laash ke tarha Sab k samnay wo ye batla kr royi, Tumhari dee huwi sub cheezain utaar lay gay Wo mujay saij pay sajay zaver dikha kr royi, Na janay phir milain ya na milain apna khyal rakhna Wo khoon say rangay hath mujay dikha kr royi, Wakt-e judai aakhri lamha jo muyassar tha hamain Usi lamhay main wo sadyon ko sama kr royi, Hum is dunya main na mil sakay to Hashar main sahi Meri jaan kafan say lipta ghoonghat utha kr royi... Wo mujay mehndi lagay hath dikha kr royi...... |
Re: Main kisi or ka hoon itna bata kr royi Great yaar.. BTW sab theek to hai na.. itni sad lines.. |
Re: Main kisi or ka hoon itna bata kr royi han han sb thk ha yar.....bas kamal ki lagi thi emotions bohat achy tareeqay sy beyan kiye hwy hain iss mein |
All times are GMT +5. The time now is 08:09 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.