BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Alfaz k jhootay bandhan main (http://bzupages.com/f109/alfaz-k-jhootay-bandhan-main-7839/)

momna gull 28-01-2010 05:14 PM

Alfaz k jhootay bandhan main
 
Alfaz k Jhootay bandhan main,

Raz k gehray pardon main,

Her shakhs muhabbat kerta hai,

Halan k muhabbat kuch bhi nahi,

Sub jhootay rishtay naatay hain,

Sub dil Rakhne ki baatain hain,

Kab Kaun kisi ka Hota hai,

Sub asli Roop chupatay hain,

Ehsas se khali log yahan,

Lafzon K teer Chalatay hain,

Ek baar nazar main AAker woh,

Phir sari umer rulatay Hain,

Ye ISHQ muhabat

Mehr O Wafa

Ye sub kehnay ki baaten hain,

Her shakhs khudi ki Masti main,

BUS APNI KHATIR JEETA HAI.

Muzammil 28-01-2010 05:34 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
Last 2 lines is my fav...

momna gull 28-01-2010 06:13 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
han last is the climax
or climaz hi kisi tasawar ko mukammal kerta hai

usman_latif_ch 28-01-2010 06:23 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
yahan bhi mera ap sy hamesha ki terhan ekhtalaf ha ....yeh depend kerta ha kis ko kis terhan ka behaviour milta ha jis ko jesa milta ha wsko sb waisa he lagta ha....

momna gull 28-01-2010 06:40 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
ap ko muj se ikhtalaf hai ya poet se
ye to bata den

usman_latif_ch 28-01-2010 06:55 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
ap sy tu bohat zada ha ....:)

laqin abhi iss post k theme sy

momna gull 29-01-2010 11:25 AM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
muj se bohat ziada ikhtalaf hai
chalo achi baat hai
koi bat to hamari aik jasi hai
tmhai muj se ikhtalaf ahi or muje tm se ikhtalaf hai

.BZU. 04-09-2011 11:23 AM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
Quote:

Originally Posted by momna gull (Post 16950)
Sub jhootay rishtay naatay hain, Sub dil Rakhne ki baatain hain, Kab Kaun kisi ka Hota hai, Sub asli Roop chupatay hain,

:flirt::(:beg:its true:sobstory:

usman_latif_ch 04-09-2011 12:35 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
yeh tu almost pori he true ha or iss duniya ki haqeeqat ha...,

Salman Mushtaq 04-09-2011 01:04 PM

Re: Alfaz k jhootay bandhan main
 
han specially larkiyan ... in ka kuch nahi pata chalta ... main zndagi mian khabhi nahi roya tha but muje aik larki nay rulwa diya ,, lakin apun buhat zinda dil hai is liye bach gaya warna malang bantay dare nahi lagni thi


All times are GMT +5. The time now is 02:43 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.