![]() |
Raat ka aakhri pehar Raat ka aakhri pehar tha! Mujhsay chand nay kaha, Hamnasheen! alwida. Mujhko neend aa rahi hay, kal milain gay isi jaga." Main sun kar muskura dia! Usko batla dia, "Janay walay loat'tay nahi, Tum nahi aao gay, Mujhay hay yakeen." Meri baat sun kay woh rukk gaya! Aur kehnay laga, "Tumsay wada karun, Phir poora na karon. Aysa mumkin nahi! Sun ay hamnasheen! Main chand hoon "Insaan to nahi" |
| All times are GMT +5. The time now is 12:58 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.