~Quran~ ~Quran~ Amal ki kitab thi Dua ki kitab bana dia... Samajhne ki kitab thi parhne ki kitab bana dia... Zindon ka Dastoor tha Murdon ka Manshoor bana dia... iNQalab ki kitab thi Sirf Sawab ki kitab bana dia... ilm ki kitab thi La ilmon k hathun mein thama dia... Taskheer-e-kayenat ka Dars dene aai thi Sirf Madrisson ka nisaab bana dia... Murda qomon ko zinda karne aai thi Murdon ko bakhshwane par laga dia... |
Re: ~Quran~ 3 Attachment(s) This is happened only due to Molvies jo apni jaib bharnay kay ke liye yeh sab karte hain, Aur yeh bhi bhool jatay hain kay quran majeed ka maqsad kia hay, aur yeh kay quran majeed main kis kis cheez say mana kia gia hay... Molive quran parhata hay tu tab bhi paisay leta hay, agr paisay na milain tu keh deta hay kay agar fee nahi hay tu kal pehnay bhi na ana.. But yeh nahi samjhta kay yeh quran majeed kia ilaan kar raha hay... Attachment 12684 Murdo ko bakhshwanay ka kaam bhi molviyon nay shuru kia, takay Murdon ki relatives say Qul, khatam perhwanay kay paisay batoor sakain, Halankain, Muhammad Kareem SAW ki life main un kay beton ki death hoi, unki wifes ki death hoi, But aap SAW ya kisi sahaba nay kabhi bhi kisi din bhi koi qul, khatam nahi parhwaye.. Isi liye quran majeed main yeh baat pehlay say hei bata di gay hay... Attachment 12685 |
All times are GMT +5. The time now is 08:17 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.