![]() |
Baba Mujhko dar lagta he. Masoom Sooch aur dahshat gardi... Baba Mujhko dar lagta hay Baba meri miss nay kaha hay Kal say sab school kay bachay Ghar main rahain gay... Main nay suna hay ek baray say Kaali mochoon walay Uncle Bachoon ko darain gay Boomb laga kar aain gay Bhool gai main naam bhala tha Shyad Dehshat Gard kaha tha Baba kiyon marain gay wo bachon ko? Hum say kia koi bhool hoi hay? Hum say kiyon naraz hain uncle? Baba unko guria day doon ya phir meri rangoon waali... Yaad hay na wo neeli dabiya Meri pichali saalgira par Mujhko aap nay la kar di thei Aur meri woh piyari Pooni Red color ki tittli waali. Wo bhi unko main day dongi Phir tu nahi marain gay mujhko? Yaad hay baba aik dafa jab. Mujhko haath pay chot lagi thei Bohut hei ziyada dard huya tha Go thora sa khoon baha tha Bohut hei ziyda roi thei main. Kia yeh boomb bura hota hay? Buhut ziada kia chot lagay gi Dard bhi shyad ziyda hoga. Baba please uncle ko mana lain Please mujhay Uncle say bacha lain... |
Re: Baba Mujhko dar lagta he. Masoom Sooch aur dahshat gardi... future mein bachy yeh national anthem ki jaga perhain gy... |
Re: Baba Mujhko dar lagta he. Masoom Sooch aur dahshat gardi... Quote:
|
Re: Baba Mujhko dar lagta he. Masoom Sooch aur dahshat gardi... yara its a realy gud poetry.................. |
Re: Baba Mujhko dar lagta he. Masoom Sooch aur dahshat gardi... Quote:
ya sirf poetry ni.bht takleefda haqeqat b ha.............................., |
| All times are GMT +5. The time now is 04:54 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.