BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Online Islamic Books (http://bzupages.com/329-online-islamic-books/)
-   -   Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit (http://bzupages.com/f329/shirk-ki-aqsaam-quran-o-hadees-ki-nazar-mein-types-shirk-according-quran-sahee-hadit-6218/)

.BZU. 25-10-2009 11:58 AM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
abh tu quran ka translate aap apni marzi say kar rahay ho na.. aur kehtay mujhay ho...
Quote:

Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy

Wohi baat tu hay na kay jado say kisi ka kuch bhi nahi bigaar saktay ... Allah ke hukum kay bagheer..

Waisay Allah khud aisa hukum day ga kiyon. kay wo kisi ka kuch begaar sakain?? because Allah nay kaha jo hay kay jadogar kabhi kamiyab hei nahi ho sakta...
Quote:

faraz kero agr koi kisi ko qatal kerny ata ha tu kya wo allah k hukam k elawa kisi ko qatal kr sakta ha nahi kabhi nahi magar agar allah he chahta ho k wsny qatal hona ha iss terhan tu wo zaroor kamyab ho jye ga

Yeh qatil amnay samnay aa kar qatal karta hay..
Yeh nahi kay apnay ghar baithay jado kar kay qatal karta hay...

usman_latif_ch 25-10-2009 12:02 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
1 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13239)
abh tu quran ka translate aap apni marzi say kar rahay ho na.. aur kehtay mujhay ho...

Wohi baat tu hay na kay jado say kisi ka kuch bhi nahi bigaar saktay ... Allah ke hukum kay bagheer..

Waisay Allah khud aisa hukum day ga kiyon. kay wo kisi ka kuch begaar sakain?? because Allah nay kaha jo hay kay jadogar kabhi kamiyab hei nahi ho sakta...

Yeh qatil amnay samnay aa kar qatal karta hay..
Yeh nahi kay apnay ghar baithay jado kar kay qatal karta hay...

mein ny qatil ki misal ws k ikhteyar ki wajh sy di ha k ws k pass ikhteyar kahan sy aeya k wo kisi ko qatal kr ly allah k merzi k elawa nahi na kr sakta k kr sakta ha khud sy allah ki merzi k elawa bhi...?

acha mein ny apni merzi sy ki ha chalo ap same issi line ki translation kero...deikhta hn ap kya kerty ho

yeh lo apki translation faraq bataow

.BZU. 25-10-2009 01:24 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
yeh translation meri hei to qoute kar rahay hain aap...

waisay... main nay is ayat kay part ki baat nahi ki. balkay is ki part ki baat ki hay . kay aap nay aur Alama hazarat nay apni marzi say ki hay...

let me qoute again..

Quote:

aap nay tarjama aisa hei kia.. bilkul jaisay kay in molana sahab nay kia....

Acha abh khud soochoo....
let me explain..:

http://bzupages.com/attachments/1061...on-par-naz.gif

Usi ooper wali ayat main daikho... aap kehtay ho kay main nay apni marzi ka translation kia hay....

But apnay in allama ka Freeb daikh lo...

Jinho nay aik hei ayat main aik hei lafaz kay 2 meaning nikalay hain....
Oper tu likh dia kay Wama,. means Aur Nahi...
But Usi ayat kay anadr aglay line main likh dia kay,

Wama means Pechay lag gay us ilam kay...

Yahan par kiyon nahi kaha kay?

Nahi nazil kia giya 2 farishton haroot maroot par?

aur phir nechay ja kar dobar yehi keh diya ...

Wama means nahi ...

main nay highlight kia hay :(( parh lain translate meri marzi ka bhi aur apni marzi ka bhi...

================

usman_latif_ch 25-10-2009 01:51 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13248)
yeh translation meri hei to qoute kar rahay hain aap...

waisay... main nay is ayat kay part ki baat nahi ki. balkay is ki part ki baat ki hay . kay aap nay aur Alama hazarat nay apni marzi say ki hay...

let me qoute again..

han yehi tu mein keh raha hn jo translation mein ny yahan likhi ha or jo apny ki ha dono mein kya faraq ha...?

Allama ko beech mein bar bar kyoun ly ati hain jye jahanum mein mujhy kya ws sy meri bat karain meri or apki translation mein kya faraq ha...yeh batayn bas

.BZU. 25-10-2009 02:10 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"
aap pichali is ayat ko pora nahi parh rahay ho. pechay yeh likha hay kay

Loog un cheezon kay pechay lag gay jo sheetan sekhatay thay

Sleman A.S nay kufar nahi nahi. balkay un sheetano nay kufar kia...jo logon ko jado sikhatay thay...

.. abh agay aap ki baat lay lete hain...

Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero'

yahan tak tu aap theek ho...

us kay bad aap yeh kiyon kehtay ho kay Is ka yeh matlab hay kay Loog in say jado seekhtay thay...

Jabkay pehlay Allah nay iss baat ki daleel di kay Na hei farishton par jado nazil hua aur na hei frishton nay jado sikhaya...
Aur Allah nay yeh bhi kaha :

Quote:

Loog un cheezon kay pechay lag gay jo sheetan sekhatay thay
Tu yahan yeh matlab banta hay kay loog sheetano ki baat martay thay. Frishton ki nahi...

Quote:

garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"
Jab jado nazil hei nahi huya tu aap is trah translate kiyon kar rahay ho kay. Frishtay jado sikhatay thay..

Yeh kiyon nahi kehtay kay Sheetan Jado sikhatay thay.. because pechay Allah nay ye bhi kaha hay kay Sheetano nay kufar kia... aur Allah nay Apnay frishton ki gurentee bhi di kay yeh sirf haq sekhatay thay aur kehtay thay kay buray kamo main na paro. yeh tumhain koi faida nahi dain gay...

usman_latif_ch 25-10-2009 02:19 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"
or wo dono ko dono ki bat ki gai ha?

or wo aesi kya cheez thi jo logon k liye azmaesh thi jo wo seeikhty thy phir?

or agy perho likha ha log insy jado seekhty thy in sy ka matlab kya hota ha ?

or Allah ny yeh bhi kaha k jado garr kamyab nahi ho sata magar siwaye iss k keh allah he nuqsan ka hukam dy dy kyoun kaha yeh...?

.BZU. 25-10-2009 02:30 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13254)
or wo dono ko dono ki bat ki gai ha?

or wo aesi kya cheez thi jo logon k liye azmaesh thi jo wo seeikhty thy phir?

or agy perho likha ha log insy jado seekhty thy in sy ka matlab kya hota ha ?

or Allah ny yeh bhi kaha k jado garr kamyab nahi ho sata magar siwaye iss k keh allah he nuqsan ka hukam dy dy kyoun kaha yeh...?

Theek hay aisay hei mano Allah kay quran ko.. tu phir un questions kay answer bhi day do. jo main nay ki ay hain...
Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

usman_latif_ch 25-10-2009 02:43 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13257)

Theek hay aisay hei mano Allah kay quran ko.. tu phir un questions kay answer bhi day do. jo main nay ki ay hain...
Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

wo sawal apny khud sy bana kr khus sy he jawab tu dye diye hain

mujh sy yahan bari bari ek ek sawal poch hr ek ka answer deta ha...
wo sare batain wazah ho jayn gi hr ek sawal ka youn jawab dnga tu khachri pak jati ha ap pocho mein jawab deta ha ek ek sawal ka answer dnga

Quran ki tashreeh kerny k liye ahadees hain apny apni tashreeh kr k sahi ahadess ko he galat sabit krna shuru kr diya ha tu phir hr ek youn he apny apny andaz sy apnay apny matlab nikaly ga

Jesy Molana Tahir Ul Qadri sb kr rahy hain ajkal ap apny matlab nikalo wo apny nikalta ha

or hm jesa koi apny...kyoun Sahi ahadees hr ek ki tashreeh k mutabiq galat hony lag gai hain abhi kal ko koi or uthy ga wo bhi kisi aeyat sy kisi hadees ko apny matlab sy takra kr galat kr dy ga

.BZU. 25-10-2009 02:48 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13258)

acha jawab nikala hay answer na dene ka..

sahih hadees sach main quran ki tashreeh karti hain.:tickedoff:quran ki nafi nahi karti hain... agar nafi karain tu qo Zaeef ahadees hoti hay...

Abhi tak aap nay koi hadees share ki hay? jo aap aisa kuch keh rahay hain?main nay tu chalo kuch ayat paish ki. jin ko ap half mantay aur half nahi..

usman_latif_ch 25-10-2009 02:59 PM

Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13259)

acha jawab nikala hay answer na dene ka..

sahih hadees sach main quran ki tashreeh karti hain.:tickedoff:quran ki nafi nahi karti hain... agar nafi karain tu qo Zaeef ahadees hoti hay...

Abhi tak aap nay koi hadees share ki hay? jo aap aisa kuch keh rahay hain?

han sahi ahadees quran sy nahi takratein tabhi mohadeseen unko sahi kehty hain

imam muslim or bukhari jahil nahi thy wo bhi bohat kuch janty thy or quran ki yeh sb aeyat unhon ny bhi perhi hongi lazmi...

ap sari sahi ahadees ka inkar kerty ho tu quote krny ka faida?

ok ab mein apko quote keronga bohai si sahi muslim ki ahadees or sahi bukhari ki ahadees ok...
or ap apni tashreeh sy unko quran sy takra kr galay sabit kerna ok...

All times are GMT +5. The time now is 12:33 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.