![]() |
kal jab kitaab Kitab e maazi ko main nay khola Bohut hi muddat kay baad kal jab kitaab Kitab e maazi ko main nay khola Bohat say chehray nazar main utray Bohat say naamon pay dil paseeja Ik aisa safha bhi us main aaya Likha hua tha jo ansuon say Kay jis ka Unwan Hamsafar tha Yah safha sab say hi moatabar tha Kuch or ansu phir us pay tapkay Phir us say aagay main parh na paya Kitab e mazi ko band kar kay Usi ki yaadon main kho gaya main Agar woh milti to kesi hoti? Inhi khyalon main so gaya main |
| All times are GMT +5. The time now is 01:51 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.