![]() |
Sab se chupa kar Sab se chupa kar dard Jo who muskura diya.... Us ki hansi NE to aaj mujhe rula diya..... Lehje se uth raha tha har I dard ka dhuaan... Chehra Bata raha tha k kuch ganwa diya... Aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi... Or keh raha tha k mein NE sab kuch bhula diya.... Jane kya us ko loghon se thi shikayatein. ... Tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya... Khud bhi who hum se bichar kar adhura as ho gaya.... Mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya.... |
| All times are GMT +5. The time now is 11:59 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.