BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Kash hum bezubaan hote, (http://bzupages.com/f109/kash-hum-bezubaan-hote-5237/)

usman_latif_ch 18-08-2009 02:04 PM

Kash hum bezubaan hote,
 
Kash hum bezubaan hote,
Naa fir gham yun bayaan hote !!

Kash naa hoti zindagi ki samajh,
Naa fir yun afsaane jawaan hote !!

Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,
Naa fir kuch khone k gham yahan hote !!

Gar tod jaata koi ashiyaaN humara,
Fir bhi khoobsurat saare samaan hote !!

Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,
Fir bhi andhere naa yahan hote !!

Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !
Kash hum bezubaan hote !!
Kash hum bezubaan hote !!

ghazala 18-08-2009 02:13 PM

Re: Kash hum bezubaan hote,
 
Ye Fir kya hota hai .:anana:iss tarha se to acha tha k aap bezubaan hi hote.

usman_latif_ch 18-08-2009 02:40 PM

Re: Kash hum bezubaan hote,
 
Quote:

Originally Posted by ghazala (Post 11347)
Ye Fir kya hota hai .:anana:iss tarha se to acha tha k aap bezubaan hi hote.

yeh fir perhnay wlay mein aqal ki kami hoti ha....

ghazala 18-08-2009 02:49 PM

Re: Kash hum bezubaan hote,
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 11354)
yeh fir perhnay wlay mein aqal ki kami hoti ha....

fir likhnay waly ki aqal ki ziadati hoti hai iss baray main kya khayal hai.........

usman_latif_ch 18-08-2009 02:59 PM

Re: Kash hum bezubaan hote,
 
Quote:

Originally Posted by ghazala (Post 11357)
fir likhnay waly ki aqal ki ziadati hoti hai iss baray main kya khayal hai.........

yeh language or lehjay ka faraq hota ha ab india mein phir ko fir he bolaty hain
abhi tu pakistan mein he kitnay lehjay hain kya pata nahi ha apko....?

ghazala 18-08-2009 03:12 PM

Re: Kash hum bezubaan hote,
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 11365)
yeh language or lehjay ka faraq hota ha ab india mein phir ko fir he bolaty hain
abhi tu pakistan mein he kitnay lehjay hain kya pata nahi ha apko....?


but ye poetry kis ki hai jis ne ye word use kya hai.


All times are GMT +5. The time now is 07:55 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.