![]() |
Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon Dono jahaan chand se chehray pe waar doon woh lamha aaj bhi meri mutthi main bund hai us ik nigaah e naaz pe khud ko nisaar doon Aaeenay main woh khud ko sanware hain jaane kyoun Apne lahoo se surkh labon ko nikhar doon Us husne baimisaal ki taareef kuch naheen baad e saba kahoon tujhe naam e bahar doon hai yeh kisi haseen ki zulfon se teergi roshan sahar karoon ke jo inko sanwaar doon dil kya hai jaan kya hai karun tujh pe sab nisaar Main do jahaan teri muhabbat main haar doon Chulkee hai chandni ya shuaaein hain noor ki woh aa gaye hain bazm main nazrain utaar doon Mairi bhi umr us ko hi lag jaae ae khuda Din raat yeh duaaen usay beshumaar doon Seema kiwaar khol doon sab, gur woh sitamgar dustak de aik baar main dil baar baar doon |
Re: Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon who has written this poetry? can u tell me ?? I love it...its amazing...:thumbup: |
Re: Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon yeh tu pata nahi kis ny likhi ha per post mein ny ki ha.... |
| All times are GMT +5. The time now is 07:21 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.