![]() |
Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya.. Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya.. Woh shakhs ek shaam main kitna badal gaya.. Qadmon talay jo rait bichi thi woh chal pari.. Us nay churaya haath to sehra badal gaya.. Koi bhi cheez apni jagah par naheen rahi.. Jatay hi ek shakhs k kiya kiya badal gaya.. Hairat say saray lafz usay daikhtay rahay.. Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya.. Shayad wafa k khail say ukta gaya tha woh Manzil k pass aa k jo rasta badaal gya |
| All times are GMT +5. The time now is 02:14 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.