Ghazal: Is ko juda hue bhi zamana buhut huya, Ab kiya kahain qisa yeh purana buhut hua. (Ahmad Faraz) |
Re: Ghazal: Is ko juda hue bhi zamana buhut huya, Ab kiya kahain qisa yeh purana buhut hua. (Ahmad Faraz) us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda itne se vaqaye ka fasana bahut hua ab ham hain aur sare zamane ki dushmani us se zara rabt barhana bahut hua ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den is ashiqi main jan se jana bahut hua ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka mana k us se milna milana bahut hua kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil ai yad-e-yar tera thikana bahut hua kahta tha nasehon se mere munh na aio lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikrphir kya tha ek hu ka bahana bahut hua ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua |
All times are GMT +5. The time now is 08:44 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.