BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Barish Hai Aanson Ki Zameen Per Jhari Hui (http://bzupages.com/f109/barish-hai-aanson-ki-zameen-per-jhari-hui-21682/)

.BZU. 02-12-2011 06:38 PM

Barish Hai Aanson Ki Zameen Per Jhari Hui
 
1 Attachment(s)
Attachment 28119
Barish Hai Aansu’on Ki Zameen Per Jhari Hui
Phir Bhi Hai Dil Main Dard Ki Naddi Charhi Hui

Baaqi Tamaam Umrr Bichhernay Ki Baat Thi
Milnay Ki Guftugu To Ghari Do Ghari Hui

Ye Raah To Chuni Thi Judai Ke Waastay
Ye Aarzu-e-Wasl Kahan Aa Kharri Hui

Ye Raah Ki Nahi Ye Muqaddar Ki Baat Hai
Manzil Chuni Hai Jo Wohi Manzil Kari Hui

Sun To Sahi Hawa-e-Khizaan, Dekh To Sahi
Kia Keh Rahi Hai Phool Ki Patti Jhari Hui

Saw Saal Bhi To Lamha’ ba’ lamha Baray Huay
Ye Umrr Iss Tarah Bhi Ghari Ki Ghari Hui

Ek Pal Main Jo Hai Doosray Pal Main Nahi Hai Wo
Her Ek Ghari Main Umrr Zara Si Bari Hui

Pehlay He Kohnagi Ko Chhupana Muhaal Tha
Ek Saal Aur Umrr Hamari Bari Hui

Taray Falak Pe Aankh Main Aansu Wisaal Ke
Ye Raat Motioon Se Hai Saari Jari Hui

Iss Ke Leay To Raah-e-Wafa Chaheay Adeem
Her Raah Main Nahi Hai Muhabbat Pari Hui

Kis Ki Majaal Arz-o-Samaan Ko Hila Sakay
Jo Cheez Jis Jaga Thi Waheen Hai Pari Hui

Zoq-e-Sukhan Ye Naaz Yunhi To Nahi Adeem
Hum ne Bhi Meerza Ki Ghazal Hai Pari Hui

Nazrain Pari Zara Si Teri Kainaat Per
Dekhi, Bina Bagher Imaarat Khari Hui

Aadam Hai Aik, Nau-e-Bashar Mukhtalif Adeem
Sachi Hai Baat Phir Bhi Lagi Hai Gharhi Hui


All times are GMT +5. The time now is 03:08 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.