![]() |
Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huy Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huy Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain K ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat Teray bakhsay huy azaab-e-tanhai se kertaY hain Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi (k hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi) Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say Tera aks-e-jaa'n mita daingay Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . .. Shab ki tanhai main chupke say hata daingay Is per bhi sehar koi gham nahi hota K hum ko zamane main teri ruswai manzoor nahi Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota Mgr jab faseel-E-jaa'n say saans ukharti hay to Aise main hum Aseer-E-muhabbat Phir say ahd-E-wafa duhranay lagtay hain Itneay zakhm kha kar bhi nishtar jaan ko teri ankhon ka Surmai samandar yaad aata hay Aisay main hum dair tak mazar-E-muhabbat per Noha giri kertay hain , aahain bhartay hain Aise main yaad-E-maazi ki her yaad Nakhl-E-yada'n say mehev hojati hay aisay main bas december ki Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka alvidaii manzar yaad aata hay aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!! |
| All times are GMT +5. The time now is 04:38 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.