BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Zindagii ke mele me.n Khvaahisho.n ke rele me.n (http://bzupages.com/f109/zindagii-ke-mele-me-n-khvaahisho-n-ke-rele-me-n-21119/)

haseeb 18-11-2011 11:55 AM

Zindagii ke mele me.n Khvaahisho.n ke rele me.n
 
Zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
Tum se kyaa kahe.n jaanaa
Is qadar jhamele me.n
Waqt kii ravaanii hai
BaKht kii giraanii hai
SaKht bezamiinii hai
SaKht laamakaanii hai
Hijr ke samandar me.n
TaKht aur taKhte kii
Ek hii kahaanii hai
Tum ko jo sunaanii hai
Baat go zaraa sii hai
Baat umr bhar kii hai
Umr bhar kii baate.n kab
Do gha.Dii me.n hotii hai.n
Dard ke samandar me.n
Anginat jaziire.n hai.n
Beshumaar motii hai.n
Aa.Nkh ke dariiche me.n
Tum ne jo sajaayaa thaa
Baat us diye kii hai
Baat us gile kii hai
Jo lahuu kii Khilvat me.n
Chor ban ke aataa hai
Lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
Zindagii se lambii hai
Baat rat_jage kii hai
Raaste me.n kaise ho
Baat taKhaliye kii hai
TaKhaliye kii baato.n me.n
Guftaguu izaafii hai
Pyaar karane vaalo.n ko
Ik nigaah kaafii hai
Ho sake to sun jaao
Ek din akele me.n
Tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
Is qadar jhamele me.n


Regards


All times are GMT +5. The time now is 07:37 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.