BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   magar tumhein kya.. (http://bzupages.com/f109/magar-tumhein-kya-19832/)

haseeb 24-10-2011 11:00 PM

magar tumhein kya..
 
Main arey tirshey khayal likhoon
Koi bay iradda kitab likhon
Koi shansa ghazal tirashoon
Koi ajnabi intisaab likhon
Gawa don aik umar kay zamany
Kah ab Aik pal ka hisaab likhon
Meri tabiat per munhasir hay
Main jis rah ka nisaab likhon
Yeh meray apney mizaj per hai
Azab soochon sawab likoon
Taweel tar hai safar magar tumhein kya
Main ji raha hon magar tumhein kya
Magar tumhein kya
Kah tum to kab sey meray iradey ganwa chukey ho
Jala kay sarey haroof apney
Meri duwaien bhuja chukey ho
Main raat orhoon kah shubah pahnoon
Tum apni rasmein utha chukey ho
Suna hai k sab khuch bhula chukey ho
To phir meray dil pey jabar kaisa
Yeh dil to hadd sey ghuzar chuka hai
Ghuzar chuka hai magar tumhein kya
Khizaan ka mosam teher chuka hai
Teher chuka hai magar tumhein kya

Main jis tarah kay bhi khawab likoon
Main arey tirchey khayal soochon
Koi bay irada kitab likhoon
Koi shanasa ghazal tirashoon
Koi anjabi intisaab likhoon
magar tumhein kya...


All times are GMT +5. The time now is 06:31 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.