![]() |
gham ki tash.heer na kar,khud ko tamaashaa na bana gham ki tash.heer na kar,khud ko tamaashaa na bana dekh,is dard-e-muhabbat ko fasaanah na banaa be samar hi sahi,shaadaabi-e-jaaN ka haiN sabab khaahishaiN maar ke yooN zaat ko sehraa na banaa sehn-e-zindaaN maiN bhi aayaiN gi hawaayaiN taazaa habs lamhoN ko dil-o-jaaN ka labaadah na banaa waqt badley ga,badaltaa hai,kahaaN ruktaa hai? hosaley haar ke yooN zeest ko sadmah na banaa toR hi paaooN issey maiN na nibhaah hi paaooN mujh se is darjah anokhaa bhi to rishtah na banaa moj-e-pur shor hawaadis ka pataa deti hai dekh nadaaN! lab-e-saahil tu gharondhaa na banaa shokh nazroN se takallum to hai aadat us ki us ki aadat ko muhabbat ka hawaalah na banaa jis ke anjaam peh manzil hai na manzil ka nishaaN aesi be kaar musaafat ko tamannaa na banaa phoonk Daaley na kaheeN Zain jazeerah dil ka khaahish-e-lutf-e-muhabbat ko jawaalaa na banaa |
| All times are GMT +5. The time now is 04:23 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.