![]() |
Waqt bari zalim aur sfaaq shay ka name hay 1 Attachment(s) Attachment 25794 Waqt bari zalim aur sfaaq shay ka name hay Waqt ki gardish insaan ko kisi pal chain naheen lene deti Balke waqt insaan k har sukh main dukh ka lamha ban kar achanak a jata hay Aur woh insaan jo chand lamhe pahly khushiyon aur musarton k handwaly main jhool raha hota hay Yeh dekh kar tarap jata hay k yeh zalim waqt us ki La tahdad khuwahishaat ko apne qadmon tally rondta huwa Agey barh raha hay waqt ajeeb shay hay k agar koy insaan khushi ka tasawar karta hay To waqt usse ghami se humkinar karta chala jata hay Us ko kisi ki khushi se ya ghami se koy wasta naheen Woh bari khubsorti se apna farz nibhata hay Waqt ko koy ahsaas naheen hota woh khamoshi se age bartha rahta hay Waqt kisi ko milata hay kisi ko juda karta hay Waqt kisi ki duniya ko rangeen aur khubsorat banata hay Aur kisi k armanoon ko andheroon ka muqadar bana deta hay Waqt ki ghariyoon main insaan to bilkul paband salasal ho kar rah gaya hay koy yeh to batay k akhir waqt itni zalim shay kyun hay.....? :baloon: |
| All times are GMT +5. The time now is 07:25 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.