BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Dil dukhta hai... (http://bzupages.com/f109/dil-dukhta-hai-16159/)

snowwhite 22-05-2011 07:02 PM

Dil dukhta hai...
 

Abad gharon se door kahean

Jab banjer ban mai aag jalay

Dil dukhta hai

Perdais ki bojhal rahon mai

Jab shaam dhalay, Dil dukhta hai

Jab raat ka qatal sunnta

Pur-hol faza k weham liye

Qadmon ki chaap k sath chalay

Dil dukhta hai

Jab waqt ka nabeena jogi

Kuch hanstay bastay chehron pe

Be-dard rutton ki rakh maly

Dil dukhta hai

Dil dukhta hai

Jab sheh-rag mai mehroomi ka

Nishter tooty

Dil dukhta hai

Jab hath se resham rishton ka

Daman chootay

Dil dukhta hai

Jab tanhaaie k pehlu se

Anjaany dard ki lay phootay

Dil dukhta hai

Dil dukhta hai

Zerdaab rutton k saye mai

Jab phool khilean

Dil dukhta hai

Jab zakham dehkanay waly hon

Or khushbu k pegaam milean

Or apnay dareeda daman k

jab chaak silean

Dil dukhta hai

Jab ankhean khud se khawab bunean

Khwabon mai bisray chehron ki

Jab bheer lagy

Us bheer mai jab tum kho jao

Jab habas bherhy tanhaaie ka

Jab khawab jalean, jab ankh bujhy

Tum yaad ao

Dil dukhta hai




All times are GMT +5. The time now is 07:47 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.